Friday, February 25, 2011

EK BACHPAN KA ZAMANA THA

Ek Bachpan Ka Zamana Tha
Khushiyo ka khazana tha.

Chahat chaand ko pane ki,
dil titli ka diwana tha.

Khabar na thi kuch subah ki,
na shaamo ka thikana tha.

Thak-haar k aana school se,
par khelne b jana tha.

Dadi ki kahani thi,
pariyo ka fasana tha.

Barish me kagaz ki kashti thi,
Har mausam suhana tha.

Har khel me sathi the,
Har rishta nibhana tha.

Gam ki juban na hoti thi,
na jakhmo ka paimana tha.

Rone ki wajah na thi,
na hasne ka bahana tha.

Ab nahi rhi wo zindgi...
Ek BACHPAN KA ZAMANA THA....
Khushiyon ka khazana tha.....

(Actually not by me,but I liked it so much.So posting)

No comments:

Post a Comment